Skip to main content

Blogger Me Attribution (Powered By Blogger) Ko Remove Kaise Kare

Powered By Blogger Attribution Kaise Remove Kare
Hi blogger friends, ye apke liye article hai. sabh jante hai ki blogger easy or simple blogging karane ke liye bahut acha hai agar nahi pta toh me bataa deta hu ki blogger.com bilkul free hai or aap chaho toh blogger platform par apna new blog banaa skte ho or sath-sath ye unlimited or lifetime ke liye free service deta hai or ye google ka hi ek product hai jo users ko apani hobbies, interest or business ko badawaa dene ke liye free service provide karwata hai. aaj ka humara article [Blogger Me Attribution (Powered By Blogger) Ko Remove Kaise Kare - How To Remove Blogger Attribution (Powered By Google)] is bare me hai. apne blog ko professional banane ke liye apko google ka footer me credit link hataani hogi.
Powered By Google - Attribution blog me layout ke page me "attribution gadget" se remove hota nahi hai. agar aap try kar rahe ho "edit" kar ke toh apke paas sirf "Save" Button or "Cancel" Button jese hi ayenge. mene niche image di hai kuch is tarah ka ata hai.
Configure Attribution - Blogger
Par me aapko ek saadan btaunga jisse apkaa smaadaan ho jayega. ek or baat ki blogger blog ka normal Template ho ya apane kahi se download kar ke lagaayaa ho isse koi matalab nahi kyoki attribution tag badalega nahi koi bhi theme ho ya koi bhi normal theme ho attribution sabhi me same hi hota hai. or attribution normal themes me footer me miltaa hai, yadi apne custom theme/template lgaya hai toh apko right/left sidebar me mil skta hai. chaliye me btata hu karanaa kya hai jisse attribution widget remove ho jaye mere steps ko follow kariye niche diye gaye guidance ko.

Google Adsense Pin Code Ko Verify Kaise Kare 

Powered By Blogger Ko Kaise Remove Kare?

Simple Template. Powered By Blogger
Dekhiye mene image me remark kiya hai niche wala part footer tag me hota hai. aap kyo usko hataana chahate hai ho? kyoki har koi pakad ya pahachaan leta hai ki ye free blogger platform hai, agar apne custom domain kar liya ho jese ki like:(.com, .net, .org, co.in, .co etc...) toh apko attribute tag ko delete karanaa bahut jaruri hai. niche diye gaye steps follow kare apka kaam ho jayega.
  1. Pahale apna blogger blog open kare fir apko "Template" par click karanaa hai iske baad "Edit HTML"button dikhega us par click kare.
  2. Blogger Template To Go Edit HTML
  3. fir apko html wale box me ek click kar ke "CTRL + F" keyboard button press karanaa hai. iske baad search box me "attribution" likh kar enter marna hai. or apko attribution ke tags highlights honge jaha pela pela<b:widget id='Attribution1' locked='true' title='' type='Attribution' visible='true'> ko band karna hai matlab left-side me apko number ki list dikhegi bas ussi sidh me jake uss number par click kare wo arttribution band ho jayega.
    <b:widget id='Attribution1' locked='true' title='' type='Attribution' visible='true'>
    band hone pe apko right-arrow dikhega usse select kar ke delete kar dijiye.
  4. Attribution1 remove it
  5. Remove karne ke baad apko "Save Template" par click karna hai save hone ke baad apke blog ya website me abh se attribution powered by blogger nahi likha jayega.
I Hope Apko Acha Lagaa Hoga or me janta hu ki bahut se bloggers hai jo ye bataa chuke hai me is article ko post bahut late kiya hai par me chahataa tha ki blogger ka collection bnau jisse newbies blogger ko help mil sake or puri tarah se samaj sake blogging ko aade raste se na quite kar de, muje pataa hai ki bahut se log yahaa tak mere friends ne bhi haar maan li hai ki ye humare bas ka nahi hai. bas mera ye kahanaa hai ki parishram karte raho karo safaltaa apko jarur milegi. agar apko humara post acha lagaa ho toh please like, share or comment karte rahe. enjoy!!!

Comments

  1. What an interesting panel of people! Would have loved to be there to hear their thoughts in person. It sure would have been insightful. Thanks for sharing! www.jemereviews.com

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Kaise Banaye Successful Website Ka Plan

Agar aapko online successful website create karani hai or usme kamiyabhi leni hai toh aapko site/blog banane se pahale kuch planning karani padegi jisse aap ache se apne target ko pura kar sakte ho. koi log website ki planning nahi karte or site create kar ke kuch kar padate hai kaise bhi chalane ki sochate hai par wo akhir kar fail ho jate hai. kyoki unhone planning hi nahi ki. agar aap really me serious website ke maamale me toh article ko follow jarur kariyega. Apne Site/Blog Ke Visitor Kaise Increase Kare . Site/Blog Ko Monetize Kaise Kare . plan banane se humko pata chalta hai ki kya-kya karana hai or kya target ko achieve karane hai or kaise planning ko successful karana hai. aapko jisme ruchi (interest) hai aap ussi ke baare me plan banaye kyoki aap usme expert hote ho or usme aap apna best dete ho bahut se users hai jo aapke jesa bhi sochate hai jis users ko information chahiye wo aapki website ko jarur hi visit karega. par iske liye aapko P.L.A.N. banana jaruri hai. P -repare ...

Android Phone Me Saved WiFi Ka Password Kaise Pata Kare (2+ Tarike)

Hi Friends, Aaj hum is article me janenge ki Wifi ka password kaise dhunde. bahut log pareshan ho jaate hai old password ko find karane me, kyoki android phone me aasani se dikhata nahi hai. aapko thoda techincal banna padega. aaj hum aapko 2 Methods batayenge jisse wifi ka password janne me madad karega yah tarike 100% working hai. (bahut log search karte hai connect wifi ka password kaise pata kare android online iska answer apko is article me milega.) Computer Me Old Saved WiFi Password Ko Kaise Dhunde (Windows 8/8.1/10) .  Phone Number Kaise Pata Kare/Kaise Check Kare - All Operators . Apke pass koi bhi android phone ho chahe samsung, nokia, micromax, lg, lenovo, redmi, lava etc... sabhi me kaam karega chahe android old version ho ya new version kayi farak nahi padta. agar aapka phone root nahi hai toh koi baat nahi aapke liye dusra method sahi rahega. agar aapka smartphone phone rooted hai toh aap dono method ko follow kar sakte hai. aapne android phone aaj tak jitane bhi wifi...

Kaise Kare YouTube Se MP3 Convert Bina Kisi Software Ki Madad Liye *

H ello friends, aaj me bahut acha topic leke aaya hu or bahut interesting topic bhi hai or logo ko jarurat bhi hai. ye jankari (kese kare youtube se mp3 convert bina kisi software ke madad liye - How To Convert YouTube To mp3 Using Online Website Hindi Me) is bare me hai. Youtube millions video songs collection provide karwata hai. jo apko song pasand hai wo aap youtube par search kar ke video songs dekhne ke sath - sath sun sakte ho. par baat india logo ki hai india ke log jo limited internet krate hai wo video songs ka majaa nahi le pate kyo ki video songs kayi pixel (144p, 240p, 360p, 720p, 1080p etc...) me hote hai or yaha tak ki HD Video Or 3D video bhi hota hai, toh isme bahut jyada Data (MB or GB) lag jata hai. kyoki hum jante hai ki internet data pack bahut menga hai , limited bhi or yha tak ki network bhi kum aata hai jisse video buffering mode me chalaa jata hai toh video songs atak - atak ke chalta hai , aap apne favorite songs ka majaa nahi le pate, or YouTube me ye suwid...